ab tumse bhi mein kya kahoon,
tum kehete ho jo dil me aye
keh do.
par dil ka mujhe ab bas,
kabhi kabhar hi ehessas hota hai,
jab kabhi kuch yaadein chott karti,
hain,
khansi ke saath milkar seene,
mein keel si chubhti hain.
haan bas tabhi ek pal ko,
dikhta hai vo,vahin
jakda hua,
chalte hue pankhe ki tarah bhikra hua,
daya bhi aati hai mujhe,
samjhata bhi hoon usse,
ki bhai bas ab,
tera time ho gaya,
bachhpan aur jawani ke saath,
ab tera bhi pack up ho gaya
ab maturity lani hai,
life me kuch surety lani hai,
uski baatein to,
kai barsson se meri samajh,
ke pare hain,
mohenjodaro aur harappa ki,
script ki tarah
uske bhi,
kayi sawaal undeciphered,
hi pade hain.
har raat vo kuch naye
sapne saat lekar sota hai.
aur har raat unhin ke tukde sanjota hai.
farmaieshein to kai hain,
uski,
khush rahene ki,
milne milane ki,
ek cup coffee ke sath fir vahi dhun gungunane ki,
aawaz bhi deta hai,
par,rationality nahin hai,
na,
logic nahin samajhta,
life ki barikiyan,
use dikhti nahin hai,
paas ki nazar kuch,
kamzor hai,shayad
par door ki bahut,
dekhta hai.
kuch alag se hi,
primitive notions hai uske,
usse raat me jagna hai,
idhar-udhar ki sochna hai,
tumko dhoondna hai,
fir,jhunjla ke,
thodha chillake,
bas yun hi,
apna time waste karna hai.
kuch adad,ghisi-pitti purani,
pics ka ek collarge,
bhi dikhata hai
usi me dekha hai,
ki,
vo hansta tha,
tumse milta tha,
bahut naive hai,
usse lagta hai,
ki tum fir,
aaoge,
vo,shaitaniya karega,
aur tum,
fir khilkhilaoge.
abhi toota to nahin hai vo,
par thak sa gya hai.
hum-tum to aage badh gaye,
par lagta hai,
vo vahin rukk sa gaya hai.
par shukr hai,
ki,
ab sirf itna hi
bas chalta hai,
uska mujh pe,